Free Islamic Sms on your Mobile

For Free Islamic Sms on your Mobile Join KGNMSG Group. For Joining Type From Your Mobile JOIN KGNMSG Send It To: 0921959219 (Only For India)

Thursday 5 April 2012

Sacchi Hiqayat: Imam Abu Hanifa ka ek dahriya se munazra.

sacchi hiqayat:
Imam Abu Hanifa ka ek dahriya se munazra.
----

imam-e-aazam abu hanifa (rahmatullah alaih) ka ek
dahriya (khuda ko na maanne wale) se munazra tay
huwa, aur munazra ka maozu yahi masla tha ki
kainat ka koi khaaliq hai ya nahi? is munazra ke liye jagah aur date fix kar li gayi, aur
munazra wale din maidan-e-munazra me dost aur
dushman sabhi jamaa ho gaye, magar imam abu
hanifa (rahmatullah alaih) time se
bahot der ke baad aaye. dahriya ne poocha ki aap ne
itni der kyu lagayi? jab ki waqt pehle se tai ho chuka tha. imam-e-aazam
abu hanifa ne kaha "agar main is ka
jawab ye du ki... main ek jangal ki taraf nikal gaya tha
aur waha ek ajeeb waaqeya nazar aya, jisko dekh
kar main hairat aa kar wahi khada ho gaya... waqeya
ye tha ki... darya ke kinare ek ped (Darakht) tha, dekhte hi dekhte wo ped apne aap kat kar zameen
par gir gaya, aur fir khud ba khud uske takhte bane,
fir un takhto ki khud ba khud kashti (boat) taiyar
huyi, aur fir khud ba khud hi darya me chali gayi aur
apne aap hi musaafiro ko ek taraf se dusri taraf le
jaane lagi, aur har sawari se kiraya bhi khud hi leti..." to batao tum meri is baat ka yakeen kar loge?
dahriya ye sun kar zor se hansa aur bola, aap jaisa
buzurg aur imam aisa jhoot bole to hairat ki baat hai,
bhala ye kaam khud ba khud aur apne aap hi kaise
ho sakte hain? jab tak koi karne wala na ho... imam
abu hanifa ne farmaya "ye to kuch bhi kaam nahi hain... tumhare nazdeek to isse bhi zyada bade
bade aalishaan kaam khud ba khud bina kisi karne
wale ke taiyar hote hain...
ye zameen,
ye aasman, ye chaand, suraj, sitaare,
ye baaghaat, ye saikdo tarha ke rangeen phool aur meethy phal,
ye pahaad,
ye janwar aur parinde,
ye insaan aur ye saari kainat bina banane wale ke
taiyar ho gayi hai... agar ek kashti ka bina kisi
banane wale ke khud ba khud ban jana jhoot hai... to saare jahan ka bina kisi
banane wale ke ban jana isse bhi zyada jhoot hai"
dahriya aap ki taqreer sun kar lajawab ho gaya, aur
fauran apne ghalat aqeede se tauba kar ke
musalman ho gaya. [tafseer-e-kabeer]

No comments:

Post a Comment